Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono,
Na main tum say koi umeed rakhoon dil nawazi kee,
Na tum meri taraf daikho ghalat andaaz nazron say,
Na meray dil kee dharkan larkara'ay meri baathon say,
Na zaahir ho tumhaari kushma-kush ka raaz nazron say.
Tumhain jo koi anjuman roktee hai paish qadmi say,
Mujhey bhi log kehtay hain kay yeh jalway para'ay hain.
Meray humrah bhi ruswa'eeyan hain meray maazi kee,
Tumharay saath bhi guzree hu'ee raaton kay sa'ay hain.
Ta'aruff rog ho ja'ay tau usska bhoolna behtar,
Ta'alluq bojhe bun ja'ay tau usska torna acha.
Woh afsaana jissay anjaam tak lana na ho mumkin,
Ussay ek khoobsoorat mor day kar chorna acha.
Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono
Najanay Kaisay Nai Rutoon Main,Purani Yaadon Ki Naao Doobi,
Nazar k Darya Main Aanay Wala,Ubaal Kitna Ajeeb Sa Hai,
Hatheliyoo Pay Rakhay Charaghoon Ko Khud Bujhaya Hawa Say Pehlay.....
Udas Moosam Main Baybasi Ka Yeh Saal Kitana Aajeeb Sa Hai....
Yeh dil bhulata nahi hai muhabatein uss ki
Paari hoyin hain mujhe kitni adatein uss ki
Yeh mera safar uss ki khushbo'yon mein kata
Mujhe tu raah dikhati hain chahatein uss ki
Ghiri hoyi hon main chehron ki bheer mein
Kahin nazar nahi aati'n shabahatein uss ki
~ Noshi Gilani
Mere Hathon Ki Lakiron Mein Yeh Ai'b Chupa Hai 'Muhsin',
Main Jis Shaks Ko Chu Loon Woh Mera Nahi Rehta
Poochney waley!
Tujhe Kaisay Batein Akhir...?
Dukh! Abarat tu nahi k tujhe likh ker bhejein
Yeh Kahani bhi nahi k sunain tujh ko...
Na koi baat hai aisi k bataein tujh ko....
Zakham ho tu tere nakhun k hawaley ker dain
Aina bhi tu nahi hai k dikhain tujh ko
Yeh koi raaz tu nahi, jis ko chupain tu woh raaz
Kabhi chehrey kabhi ankhon se chalak jaata hai
Jaisay anchal ko sumbhale koi aur taiz hawa ho!
Jab bhi chalti hai tu shano'on se dhalak jata hai
Abb tujhe kaisay bataein k humain dukh kia hia???
Aksar shab-e-tanhai main ' kuch dair pehlay neend say
Guzri hui dil-chuspian ' Beetay huay din aish kay
Buntay hain shama-e-zindagi ' Aur daaltay hain roshni
Meray dil-e-sud chaak per
Woh bachpan aur wo saadgi ' Woh rona woh hansna kabhi
Phir woh jawani kay mazay ' Woh dil lagi woh qehqahay
Woh ishq woh ehd-e-wafa ' Woh wada or woh shukriya
Woh lazzat-e-bazm-e-tarb ' Yaad aati hain ik aik sab
Dil ka kanwal jo roz-o-shab ' rehta shagufta tha so ab
Us ka yeh abtar haal hai ' Ik sabza-e-pamaal hai
Ik phool kumhlaya hua ' sookha hua bikhra hua
Ronda para hai khak per
Yun hi shab-e-tanhai main ' Kuch dair pehlay neend say
Guzri hui na-kaamiyan ' Beetay huay din ranj kay
Bantay hain shama-e-baykasi ' Or daltay hain roshni
Un hasraton ki qabr per
Jo aarzooain pehlay theen ' Phir gham say hasrat ban gaein
Gham doston kay faut ka ' Un ki jawan mot ka
Lay daikh sheeshay main meray ' Un hasraton ka khoon hai
Jo gardish-e-ayyam say ' Jo qismat-e-nakaam say
Ya aish-e-ghum anjaam say ' Merg-e-But-e-gulfaam say
Khud meray ghum main mer gaein ' Kis tarha paaon main hazeen
Qaboo dil-e-baysabr per
Jab aah un ahbab ko ' Main yad ker uthta hoon jo
Yun mujh say pehlay uth gaye ' jis tarha taair (birds) baagh kay
Ya jesay phool aur patiyan ' Gir jain sun qabl khizan
Or khushk reh jaye shajr
Us waqt tanhai meri ' Bun ker mujassam baykasi
Ker deti hai pesh-e-nazar ' Ho haq sa ik weeran ghar
Berbaad jis ko chor ka ' Sub rehnay walay chal basay
Tootay keewar (door) or khirkiyan ' Chut (ceiling) kay tapaknay kay nishan
Pernaalay hain rozan nahin ' Yeh hall hain aangan nahin
Perday nahin chilman nahin ' Ik shama tuk roshan nahin
Meray siwa jis main koi ' Jhankay na bhoolay say koi
Woh khana-e-shali hai dil ' Poochay na jis ko dev koi
Ujra hua weeran ghar
Aksar shab-e-tanhai main ' kuch dair pehlay neend say
Guzri hui dil-chuspian ' Beetay huay din aish kay
Bantay hain shama-e-zindagi ' Aur daltay hain roshni
Meray dil-e-sud chaak per
Yeh samander ki tarah hai—waseh aur bay-paya’n, jis ka sirf aik hi kinara hai… aik sahil jahan ronakein hain, mailey hain, charaghan hai, hajoom hain… tanhaiyan aur udasiyan bhi hain. Dosrey kinaarey ki kisi ko khabar nahi. Jo log dosrey kinarey k khabar lainey gaye hain woh abhi takk lautey nahi. Iss taraf rung hi rung hain, naye rung hain aur dosri taraf be rung aur sirf aik hi rung.
Kaun jaaney azal se abad takk, kaun jaaney azal se abad takk ya azal se pehley aur abad k baad bhi zindagi hi hai. Takhleeq honey se pehley yeh khaliq k iraadey mein zinda thi aur takmeel honey k baad yeh khaliq k ro baroo hazir ker di jaye gi….
… zindagi behar-hal zindagi hi rahay gi….
Chalo tum ko batatay hain
K tum ko daikh ker dil nay
Kaha k tum rishtaeay jan say bhi ber ker ho
Doa ki sarhadoon per
Jo adhori hay, meri aise tamunna ho
Meray dil ka moqadar ho
K tum ik roshni bun ker, shifa lay ker
Kabhi dustay masiha ki tarha
Ristay hoey, her zahmay dil per ho
Chalo tum ko batatay hain
K tum iman hamara ho
Seraey deher main andeshaey zindagani main
Tum hi dil ka sahara ho
Jo rooh k asman pay jagmagaya hay, mohabat say
Suhani shaam ki chahatoon ka pehla tara ho
Wafa ka ista-ara ho
Tumharay qorb ki khoshboo say pather ki tarha hum nay
Sulagti dhop main phaylao paya hay
Tumharay pyar ki rangeen kanwal thandi hawa say
Sirsiratay hain
Hum sawun main bhegay payroon ko choo lain to
Tumharay lams ki khoshboo kay lamhay jagmagatay hain
Chalo tum ko batatay hain
K hum nay zindagi k sab warq lay ker
Sab hi satroon main likh li hay tumunna tum ko panay ki
Zamanay bher main shaaed katebay taqdeer k hathoon
Meray dil nay likh li hay tumhari chah ki khahish
Tumhari arzoowoon ka jo ik idrak hay mauj main
Kisi main ho nahi sakta
Chalo tum ko batatay hain
Chalo tum ko batatay hain.............
